Loading the player...

Bun Dosa Burger — High Protein Indian Fusion Recipe | Easy #chefayushjindal #bundosarecipe #food

  • India protein deficit hai, North India mein sabse zyada. Hamare khaane mein carbs hain, protein nahi. Yeh Bun Dosa Burger usi problem ka ek delicious solution hai. Dosa batter ka homemade bun, grilled paneer ya chicken andar, sirf 3-4 steps. Ek baar banaya toh baar baar banoge.
    High-Protein Bun Dosa Burger
    ?‍? FULL RECIPE
    Batter aur Tadka
    Dosa/Idli Batter — as required | Oil / तेल — 1 tbsp
    Mustard Seeds / सरसों — ½ tsp | Chana Dal / चना दाल — ½ tsp
    Urad Dal / उरद दाल — ½ tsp | Curry Leaves / कड़ी पत्ता — few
    Salt / नमक — to taste
    Filling aur Assembly
    Paneer / पनीर — 1 thick block (ya chicken)
    Salt + Black Pepper / नमक + काली मिर्च — for seasoning
    Mayonnaise | Cheese Slice | Onion / प्याज़ | Tomato / टमाटर
    Cucumber / खीरा | Lettuce | Ketchup
    Method
    Tadka banao — oil mein sarson, chana dal, urad dal, curry leaves splutter karo
    Tadka batter mein mix karo, namak daalo
    Greased tadka pan mein generous batter daalo, dhak do, cook karo till golden
    Flip karo, dono side done hone do
    Paneer ya chicken grill pan par namak kali mirch ke saath grill marks aane tak sear karo
    Bun thanda hone par beech se horizontally slice karo
    Mayonnaise, cheese, onion, cucumber, tomato, grilled protein, lettuce — assemble karo
    Toothpick se secure karo, ketchup ke saath serve karo
    ?‍? Chef Tip
    Batter pouring ke waqt pan bilkul level hona chahiye. Uneven pan mein batter ek taraf flow karta hai aur bun uneven thickness ka banta hai, jo slice karte waqt crumble ho jaata hai. Aur dhakna mandatory hai — bina dhake andar se kaccha reh jaata hai aur bahar se jal jaata hai।
    Yeh try karo aur kisi ek ghar waale ko dikhao. Dekhte hain woh pehchaan paate hain ki andar bun dosa ka batter hai।
    #ChefAyushJindal #HighProteinFood #FusionIndianFood #IndianFood #EasyRecipes

    Category : Tez tayyorlanadigan taomlari retseptlari

    #bun#dosa#burger#mdash#high#protein#indian#fusion#recipe#easy#chefayushjindal#bundosarecipe#food

    0 Comments and 0 replies
arrow_drop_up