India protein deficit hai, North India mein sabse zyada. Hamare khaane mein carbs hain, protein nahi. Yeh Bun Dosa Burger usi problem ka ek delicious solution hai. Dosa batter ka homemade bun, grilled paneer ya chicken andar, sirf 3-4 steps. Ek baar banaya toh baar baar banoge.
High-Protein Bun Dosa Burger
?? FULL RECIPE
Batter aur Tadka
Dosa/Idli Batter — as required | Oil / तेल — 1 tbsp
Mustard Seeds / सरसों — ½ tsp | Chana Dal / चना दाल — ½ tsp
Urad Dal / उरद दाल — ½ tsp | Curry Leaves / कड़ी पत्ता — few
Salt / नमक — to taste
Filling aur Assembly
Paneer / पनीर — 1 thick block (ya chicken)
Salt + Black Pepper / नमक + काली मिर्च — for seasoning
Mayonnaise | Cheese Slice | Onion / प्याज़ | Tomato / टमाटर
Cucumber / खीरा | Lettuce | Ketchup
Method
Tadka banao — oil mein sarson, chana dal, urad dal, curry leaves splutter karo
Tadka batter mein mix karo, namak daalo
Greased tadka pan mein generous batter daalo, dhak do, cook karo till golden
Flip karo, dono side done hone do
Paneer ya chicken grill pan par namak kali mirch ke saath grill marks aane tak sear karo
Bun thanda hone par beech se horizontally slice karo
Mayonnaise, cheese, onion, cucumber, tomato, grilled protein, lettuce — assemble karo
Toothpick se secure karo, ketchup ke saath serve karo
?? Chef Tip
Batter pouring ke waqt pan bilkul level hona chahiye. Uneven pan mein batter ek taraf flow karta hai aur bun uneven thickness ka banta hai, jo slice karte waqt crumble ho jaata hai. Aur dhakna mandatory hai — bina dhake andar se kaccha reh jaata hai aur bahar se jal jaata hai।
Yeh try karo aur kisi ek ghar waale ko dikhao. Dekhte hain woh pehchaan paate hain ki andar bun dosa ka batter hai।
#ChefAyushJindal #HighProteinFood #FusionIndianFood #IndianFood #EasyRecipes
Category :
Tez tayyorlanadigan taomlari retseptlari
#bun#dosa#burger#mdash#high#protein#indian#fusion#recipe#easy#chefayushjindal#bundosarecipe#food